Friday, August 28, 2009

Ek Kahani

Koi kahani nayee,nahin kahani koi
Teri kahani jo hai, meri kahani wohi

Ud k raat main jab hum thak gaye
Ake fir gire jahan geelee ghaas thee
Rangee(n) raste gum se the bhare
Us-se par buree peelee aas thee

Us din raat fir dalna bhooli yun
Us din fir subah ho gaya kaala aaftaab
Kal ki thee bach-ee mut-thee bhar roshni
Bharke aankhon main humne paala aaftaab

Pagla rasta, aadhe hi thak gaya
Agla rasta, tha gumnami se bhara
Ya to tud k bas jao fir wahin
Ya fir chalte chal, jahan mile aasmaa hara

Meri shakal ki saari bheed thee
Har banda tha wahan mere naam ka
Manzil ek thee, raste ek the
Par naskha tha juda mere kaam ka

Koi kahani nayee, nahin kahani koi
Teri kahani jo hai, meri kahani wohi